Lakiron pe apne hathon ki,
saza dhoondh rahe hai
Kuch Teri bhi aur kuch apni hi
khata dhoondh rahe hai
Khamosh ho gaya hai mere andar jo kabhi tha
Hum zarre zarre me har, apna khuda dhondh rahe hai
Dekhte hai nazron me ab koi sawaal nahi hai
Halaat kuch ajeeb hai, ki be-haal nahi hai
Ab ruswaiyan bhi hum se roothi hui hai
Ki chiraagon ke tale tofaan ki raza dhoondh rahe hai
Kehne ko sare bazaar ab kuch bhi nahi hai
Yaadein nahi na yaar, ab kuch bhi nahi hai
Baatein karin thi shaam kahin khud se baith kar
Kho aaye the dil jo jahan, wahan dhoondh rahe hai
No comments:
Post a Comment