29 June 2014

UNHE CHODA NA GAYA




Mohobbat ko apne haal pe choda na gaya
Bahut tadpe, unki nazar ke ek sawal ko choda na gaya
Yunhi uth ke chal diye the hum toh har yaarana bazm se
Unse fir na milne ke khayal se choda na gaya

Na zamane ko ganwara tha, na himmat-e-marda  thi
Ek junoon hi tha bas aur mohobbat be parda thi
Fir jahan ke us dayar pe ek nadaan dil toda na gaya
Chod aaye ye jahan saara, un kanpte haathon ko choda na gaya

Kahenge log, ishq ki khata se nazrein jhuk jayengi
Unhe kya pata, mohobbat aayegi toh be-bak aayegi
Kahenge barson baad ye log zamane me
Dhadke the do dil kabhi, issi khaak virane me
 

Fir Khayenge taras dekh kar, log ye jazbat ke aansu,
Dil bhi tadphadayega, beh jayenge aur halaat ke aansu
Hum sajdon me uski gir kar mohobbat tum ko mangle
Bas ab rokde sunkar wahi, meri fariyaad ke aansu



Par aaj, aaj unke ashkon ko, unki nazron ko
Ishq, Un sadaon ko choda na gaya,
Kurban is mohobbbat, har gunah jiske sadke
Chod di khudai, par pak dar-e-yaar ko choda na gaya…..

No comments: